Usay Mana Kar Bhi Hum Ne Dekh Liya with Lyrics - Urdu Poetry by RJ Imran Sherazi

  • 7 years ago
Usay Mana kar Bhi Hum Ne Dekh Liya
Dil Jala Kar Bhi Hum Ne Dekh Liya
ab usay yaad hum nahin aatay
door ja kar bhi hum ne dekh liya
kitni veeranian hein aangan mein
ghar saja kar bhi hum ne dekh liya
woh jo kehta hai mujh ko harjai
us ko chah kar bhi hum ne dekh liya
ab bhi aankhon mein chubhan baqi hai
ashak baha kar bhi hum ne dekh liya
woh kisi tor mil nahin paya
sab ganwa kar bhi hum ne dekh liya
woh mera zabt aazmaata hai
hath chura kar bhi hum ne dekh liya

Recommended