Aisi Kya Baat Bata Di Hai Udaasi Ne Tujhe with Lyrics - Urdu Poetry by RJ Imran Sherazi

  • 7 years ago
Aisi Kya Baat Bata Di Hai Udaasi Ne Tujhe
Yeh Jo Tu Mujh se Bohat Door Hua Jata Hai
such kahon phir mein kabhi jhoot nahin bol saka
neeli aankhon ki qasam jab bhi uthai mein ne
tu to bas aisay hi naraaz hua hai mujh se
tere naraz ruvayie ke tashadud ke sabab
mera har zakhm hi nasoor hua jata hai
mein ne teri to koi baat na ki thi us se
mein to ghul mil ke bhi us par kabhi na khul paya
aarzoon ke sattar kitne chuphaye mein ne
tu ne phir mujh ko badamne dareeda samjha
raat to raat rahi is ka gilla kya karna
mujh ko har din mein bhi bas khawab gazeeda samjha
in alamnaak hawadas se bharay jeevan mein
har shabe hijar hosh ruba katoon ga
ab kisi jurm ka ilzaam lagay na lagay
mein tujhe yaad to karnay ki saza katoon ga
kya pata ab mein tujhe yaad rahon ya na rahon
tujh se mumkin hai mera aks bhi gum ho jaye
ho bhi sakta hai tere haath uthen mere liye
ho bhi sakta hai ke yoon mujh pe karam ho jaye
aalim e sog hai aankhon ko to nam rehnay do
yeh na ho baad mein tardeed e alam ho jaye
tu yeh kiyon hosh mein betha hai bata mere kaleem
dil to jal jal ke mera toor hua jata hai

Voice: Imran Sherazi

Recommended