Woh Kehti Hai Suno Jaana Mohabbat Moum Ka Ghar Hai with Lyrics (Atif Saeed) - Urdu Poetry by RJ Imran Sherazi

  • 7 years ago
woh kehti hai suno jana, mohabat mom ka ghar hai
tapsh yeh bad gumani ki kahen pighla na de is ko
mein kehta hoon k jis dil mein zara bhi bad gumani ho
wahan kuch aor ho to ho mohabbat ho nahin sakti
woh kehti hai sada aisay hi kya tum mujh ko chaho ge
ke mein is mein kami bilkul gawara kar nahin sakti
mein kehta hoon mohabbat kya hai yeh tum ne sikhaya hai
mujhe tum se mohabbat ke siwa kuch bhi nahin aata
woh kehti hai judai se bohat darta hai mera dil
ke khud ko tum se hat kar dekhna mumkin nahin hai ab
mein kehta hoon yahi khadshay bohat mujh ko satatay hein
magar such hai mohabbat mein judai sath chalti hai
woh kehti hai batao kya mere bin ji sako ge tum?
meri yaden meri aankhen meri baten bhula do ge?
mein kehta hoon kabhi is baat par socha nahin mein ne
agar ik pal ko bhi sochon tw sansen ruknay lagti hein
woh kehti hai tumhen mujh se mohabbat is qadar kiyon hai
ke mein ik aam si larki tumhen kiyon khas lagti hoon
mein kehta hoon kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho
meri dewaangi kiyon hai yeh khud hi jaan jao gi
woh kehti hai mujhe waarftagi se dekhtay kiyon ho?
ko mein khud ko bohat hi qeemti mehsoos karti hoon
mein kehta hoon mata e jaan bohat anmol hoti hai
tumhen jab dekhta hoon zindagi mehsoos karta hoon
woh kehti hai mujhe ilfaz ky jugnu nahin miltay
tumhen batla sakoon dil mein mere kitni mohabbat hai
mein kehta hoon mohabbat to nighaon se chalakti hai
tumhari khamshi mujh se tumhari baat karti hai
woh kehti hai batao na kisay khonay se dartay ho?
batao kon hai woh jis ko io mausam bulatay hein
mein kehta hoon yeh meri shairy hai aaina dil ka
zara dekho batao kya tumhen is mein nazar aya
woh kehti hai ko atif g bohat baten banatay ho
magar such hai k yeh baten bohat hi shaad rakhti hein
mein kehta hoon io sab baten fasanay ik bahana hein
k pal kuch zindgaani k tumhare sath katt jain
phir is k baad khamoshi ka dilkash raqs hota hai
nighain bolti hein aor lab khamosh rehtay hein

Poet: Atif Saeed
Voice: Imran Sherazi

Recommended