Phool Si Bachchi Ko Tamacha Maara | Naeem Bhojani | Noha 2020 | Shahadat e Bibi Sakina Noha 2020
  • 4 years ago
ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll

Phool Si Bachchi Ko Tamacha Maara | Naeem Bhojani Nohay 2020 | Noha 2020 | Shahadat e Bibi Sakina Noha 2020

Naeem Bhojani Nohay | Muharram 2020/1442
#PhoolSiBachchiKoTamachaMaara ‪‎#NaeemBhojaniNohay2020 #Nohay2020

Nauha | Phool Si Bachchi Ko Tamacha Maara
Recited By | Naeem Bhojani
Poetry By | Janab Farhan Ali Banarasi
Composition | Own Rizwi
Audio Recording | YAM Records
Audio Mix & Master | ODS Karachi
Video Recorded | YAM Records
Video & Editing By | YAM Records
Creatives | Alamdar Raza ☆ ALMUL HUDA
Chorus | Own Rizwi & Team

==============================
Follow Us On Our Other Social Media Channels :-
Facebook: https://www.facebook.com/naeembhojaniofficial/
Instagram: https://www.instagram.com/naeembhojaniofficial/
Sound Cloud: https://soundcloud.com/naeem-bhojani
Daily Motion: https://www.dailymotion.com/NaeemBhojaniOfficial
==============================

●● NOHA LYRICS ● ●

Jisko Shabbir ne nazon se bahut pala tha
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara

1
Name nazon se bahut Shahe ne Sakina rakhkha
Hubahu Fatima Zahera se tha milta chehra
Lab pe raheti thi sada jiske aie baba baba

Haye us phool si bachchi Ko Tamacha mara

Shahe Ne allah se manga tha namaz e shab me
Haaye sine pe sulate rahe maula Apne
Chand bhi dekh na paya kabhi jiska Chehra

Haye us phool si bachchi koTamacha mara

Ek qadam jite ji gaazi ke zami pr na chali
Itne naazon se shahewala ki beti thi pali
Naaz abbas uthate rhe aksar jiska

Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara

Jisko khud apni yatimi pa likha tha Rona
Bap ke bad hua khaq pe ja kar Sona
Uth Gaya baap ka jis beti ke sir se saya

Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara


Is qadar dasht e bala me thi udaasi chaayi
Bekafan baap k lashe pe nahi ro payi
Uski aankhon se tapakta tha Lahoo ka qatra
Haaye us phool si....


Aalam e Tashnalabi aur faza me garmi
Itna sunsaan tha jungle wo bahot thi sahmi
Jis ne khul kar na kaha honton se apne baba
Haye us phool si bachchi ko .......


Aag daman me lagi kaan se bundey chheene
Jo Na socha tha kabhi wo bhi sitam us pe huye
Jis pe khooñ roya tha sahraoñ ka zarra zarra
Haaye us phool si bachchi ko...


Ooñt ki pusht pe bandha tha sitamgaroñ ne
Zulm karte huye phir le gaye bazaroñ me
Jiske halaat pe rota tha zamana sara
Haye us phool si bachchi ko.......

Bosa jin hathon ka lete the hussain ibn e ali
Haaye un hathon me bandhi thi laee'n ne rassi
Balway e aam me sir nange phira kr aada
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara

Dard Farhan o Naeem aur badha Jata hai
Jab Sakina ka Kahi nauha padha jata hai
Bus yahi soch ke phatta hai kaleja mera
Recommended