Kabhi Youn Bhi Aa Meri Aankh Main Ke Meri Nazar Ko (The Immortal Jagjit Singh) "Hope"

  • 12 years ago
Kabhi youn bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de mager uske baad sehar na ho

wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
Tujhe bhulane ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko chuum ke
Youn hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apna safar na ho

Mere paas mere habib aa zara aur dil ke qareeb aa
Tujhe dhadkanon mein basaa lun main ke bichadne ka kabhi darr na ho

(UN-SELECTED PART)

Mere baazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khwaab hai chadni
Na uthe sitaron ki paalaki, abi aahaton ka guzar na ho

wo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
wo gulab ban ke khilega kyaa, jo chirag ban ke jalaa na ho

Kabhi dhoop de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se dono qubul hain
Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki hawaa na ho

Album: The Golden Moments
Lyrics: Bashir Badar
Music: Jagjit Singh

Recommended