DELHI 6 - MAULA (ARZIYAN FULL SONG) - LYRICS

  • 15 years ago
Arziyan saari main;
Chehre pe likhke laya hun
Tumse kya maangu main,
Tum khud hi samajhlo...
Maula maula maula mere maula
Maula maula maula mere maula [4]

Daraare daraare hai maathe pe maula
Marammat mukaddar ki kardo maula..mere maula
Tere dar pe jjhuka hun, mita hun, bana hun, [2]
Marammat mukaddar ki kar do maula[2]

Jo bhi tere dar aya; Jjhukne jo sar aya,
Mastiyan piye sab ko jjhumta nazar aya.
Jo bhi tere dar aya; Jjhukne jo sar aya,
Mastiyan piye sab ko jjhumta nazar aya.
Pyas leke aya tha; dariya wo bhar laya,
Noor ki baarish me bheegta sa tar aya
Noor ki baarish me...ooo...bheegta sa tar aya

Maula maula maula mere maula...[4]
Daraare daraare hai....Marammat mukaddar ki kardo maula.
Jo bhi tere dar aya; Jjhukne jo sar aya,
Mastiyan piye sab ko jjhumta nazar aya.
Jo bhi tere dar aya; Jjhukne jo sar aya,
Mastiyan piye sab ko jjhumta nazar aya.

Hoo..Ek khushboo aati thi[2]
Main bhatakta jaata tha...
Reshmi si maya thi,
Aur main tak ta jata tha.
Jab teri gali aya;
Sach tabhi nazar aya
Jab teri gali aya;
Sach tabhi nazar aya
Mujjhme hi wo khushboo thi...jisse tu ne mil waya.

Maula maula maula mere maula[4]
Daraare daraare hai..

Toot ke bikharna mujjhko zaroor aata hai [2]
Varna ibaadat wala shahoor aata hai
Sajde mein rehne do, ab kaheen-na jaoonga
Ab jo tumne tthukraya to sanwar na paonga...
Maula maula maula mere maula
Daraare daraare hai...
Sar uttha ke maine to kitni khwahishe ki thi
Kitne khwab dekhe the...kitni koshishe ki thi
Jab tu robaroo aya[2], nazrein na mila paya
Sar jjhuka ke ek pal mein[2]..maine kya nahi paya...
Maula maula maula mere maula
Mora piya ghar aya[12]
Maula maula maula mere maula...

Recommended