Yeh Intezar Kab Tak? | Poetry | IMAM MAHDI (atfs) | Sis. Gulnaar Fatima | 15 Shaban 1441 | Urdu

  • 3 years ago
#GulnaarFatima #ImamMahdi #Poem #HussainiyaTV

Kehte hain mohabbat aur uski gehraai ka andaza
meelon ki doori ya sarhadon se nahi maapa jata
Andaza lagta hai to dil ki kaifiyat se,
Jo iski gair maujoodgi se doobta hai
Aur rahaaish se hi abaad hota hai…

Main apne dil ke muamlaat se hairaan hoon,
Jo Aale Yasin k pur noor chehre ki ziyarat k liye tadap raha hai,
Ke unki khushboo meri maflooj rooh ko dobara tawanaai bakshe
Aur jo kuch iske andar toota hua tha use fir se behtar bana dein…

Lekin afsos, sharm mehsoos hoti hai iski har rag mein,
Apne amaal ki haqeeqat se pashemaan khadi hoon,
Kahan ho mere mehboob Aaqa , aye Imam Mahdi?
Meri umeedon ki bulandi, meri zindagi ke Ameer ?
Apke ehsaan k bina mera zinda rehna mumkin nahi…

Shabaan ki 15 aa gayi hai,
Main dekh rahi hoon sab aapko khutoot likh rahe hain,
Lekin meri qalam ne iss dil ki beshumaar ehsasaat ko bayan karne se inkar kar diya hai,
Ye aankhein be nazeer hone lagi hai Hazrat Yaqub ki tarah..
aur bas ab main dekh rahi hoon is makhmali raat me saje asmaan k taaron ko…

Kahaan hai wo jo iss zameen par Aman qaayam karega?
Aye Mahdi, aur ab kitna intezaar karu aapke deedar ka?
Maut ka farishta kisi bhi waqt yahan aa sakta hai,
Mujhe aapka sa’maeen banne se pehle marna hargiz gawara nahi…

Jaise jaise duniya qayamat ki taraf badh rahi hai,
mere kaan Hazrat Jibraeel ki nida ki tawakko rakhne lage hain,
ke agar mere halaak aur fanaa hone se apke zuhoor me ajal ho jaye,
toh meri qurbaani ho aur main fir be-daar kar di jaau,
bas aapke meherbaan haathon k ek ehsaas k zariye…

Jaise main apne aam se alfaaz ko likhna khatam kar du..
Meri khwaish hai k aap aa kar mujhe tasalli bakshein, ya Aba Saleh,
Bas isi lamhe, aur bas isi waqt..
Kyunki main wo bhikaari hoon jo apki shafqat par qayam hai,
Agar mere har zawaal par aapka sahara na hota,
to main kab ki iss duniya k zulm aur makkariyon ka shikaar ban gayi hoti…

- Gulnaar Fatima

Recommended