Maine Roka Bhi Nahin Aur Woh Thehra Bhi Nahin { The Great Ghulam Abbass } *Ptv Classics *

  • 4 years ago
Maiñ ne rokā bhī nahīñ aur vo Thahrā bhī nahīñ
hādisa kyā thā jise dil ne bhulāyā bhī nahīñ

Jaane vāloñ ko kahāñ rok sakā hai koī
tum chale ho to koī rokne vaalā bhī nahīñ

kaun sā moḌ hai kyuuñ paañv pakaḌtī hai zamīñ
us kī bastī bhī nahīñ koī pukārā bhī nahīñ

Be-niyāzī se sabhī qarya-e-jāñ se guzre
dekhtā koī nahīñ hai ki tamāshā bhī nahīñ

Woh to sadiyoñ kā safar kar ke yahāñ pahuñchā thā
tū ne muñh pher ke jis shaḳhs ko dekhā bhī nahīñ

Kis ko nairañgī-e-ayyām kī sūrat dikhlā.eñ
rañg uḌtā bhī nahīñ naqsh Thahartā bhī nahīñ

Yā hamīñ ko na milā us kī haqīqat kā surāġh
yā sar-e-parda-e-ālam meñ koī thā bhī nahīñ { Aslam Ansari }

Recommended