Hazme ka Nuskha | Badhazmi Ka Ilaj | Gas and Indigstion Problems

  • 5 years ago
Hazme ka Nuskha | Badhazmi Ka Ilaj | Gas and Indigstion Problems

badhazmi or is ka Asan Ilaj, sounf, kala namak or ajwaien ko barbara mikdar me le kr safoof bana lein, 1 gram halke garam pani k sath dn mein do bar lienDigestion (Hazma) is a very dangerous problem for every stage of life. Digestion problem are related to stomach pain and upset stomach. Starting of digestion problem is chew, path and chop the food. If we eat proper food and take properly, so we can digest easily everything. Digestion problem such as heartburn, ulcer etc, they are very dangerous for us. Ulcer tissues can block the digestive way. If you have uncontrollable pain in stomach, first consider to the Doctor before you take any painkiller. We can solve this digestion problem through the diet plan. Please first take advice to your Doctor then apply any type of cure. In this page, you can see the information, tips and cure about digestive problems and treatments (Nizam e Hazma Ki Kharabi aur Hazma Ka Ilaj) in Urdu and Roman Hindi.
Bachpan se baloghat tak hamari zindagi mein kitne he aise mawaqey aate hain. Jab hamare pait mein kuch takleef mehsoos hoti hai aur hum ise badhazmi ka naam de dete hain. Pait ki shikayat Nazle, zukam se ziyada aam hain. Wo hamari roz marra zindagi par asar dalti hain. Hamari bohat si vacations inhe ki nazar ho jati hain. Hazma ki kharabi ki wajah se baaz faash ghaltiyan kar bethte hain. Talbaa imtehan mein shareek hone se reh jate hain. Artist waqt muqarrara par itna kirdar adaa karne se qasir rehte hain. Business man apni nakamiyon ko badhazmi par he mehmool karte hain. Mu’aalijon ko aiteraaf hai ke unhe is ki badualat kafi aamdani hoti hai.

Andaza lagaya gaya hai ke American log har saal aik crore dollar se ziyada raqam aesi medicines ki khareed par surf karte hain jo pait ki takaleef mein taskeen deti hain. In medicines ka maqsad badhazmi, aphara, seeney ki jalan, adam ishteha, reyahi dard, chakkar, sar dard, pait ki garhgarhahat, qabz aur vomit waghera se nijaat dilana hota hai.

Dawa farosh awaam ki takleef se faiyda uthate hue tarha tarha ki medicines farokht karte hain aur ishteha bazi karte hain. Wo pait ki mamooli takaleef ko tarha tarha ke naam dete hain. Dil ki Jalan, Pait ka Bigharna, Bad hazmi, bad mizaji, Susti ki jarh waghera. Algharz badhazmi har shakhs nae rang mein pesh karta hai.

Newyork ke aik aise he mumtaz Doctor A Marx ne nizam e hazam ko mukhtasaran yun beyan kiya hai ke jo kuch hum khate hain, us mein Loaab e dehan shamil hota rehta hai. Isi liye ghiza ko slow slow chew kar ke khana zaroori hai. Hamare halaq se guzar kar yeh ghiza meyde mein pohanchti hai aur phir intestines kea mal se juzoo badan ban jati hai. Fuzla intestines ke aakhri sirey se kharij ho jata hai.

Recommended