Raman Raghav 2.0 Movie Review | Nawazuddin Siddiqui & Vicky Kaushal
  • 8 years ago
Raman Raghav 2.0 Movie Review | Nawazuddin Siddiqui & Vicky Kaushal

Anurag Kashyap ki film Raman Raghav 2.0 aaj theatre mei release ho gayi hai aur film ke dark scenes aur violence dekhkar audience ko ek salah hai ki kamjor dil wale is film ko na dekhe..Mumbai ke 60 ke dashak mei Raman Raghav ka khauf itna th aki uske naam se hi log dar jate the..steel rod se wo sareaam logon ke sir par vaar kar deta tha jisse us nirdosh ki usi jagah par maut ho jati thi..Raman raghav na to under world ka don tha aur na hi kisi gang ka sargana aur na hi dakait..wo ek manorogi tha jiske sir par khoon sawar tha..ek tarah se Raman Raghva khuni manorogi tha..aur Mumbai police ke samne usne ye swikara tha ki usne ab tak 40 murder kiye hai..jise sajaye maut di gayi thi lekin baad mei umra kaid ki saja use sunayi gayi..aur Anurag ki is film mei Nawazuddin Siddqui ne Raman Raghav ke kirdar ko nibhaya hai jise bht hi bhyavah tarike se filmaya gaya hai..ye ek biopic film nahi hai balki Raman Raghav ki zindagi se prerit film hai..jise 60 ke dasak mei nahi balki aaj ki paristhitiyon ke anusar banaya gaya hai..aur Vicky Kaushal ne is film mei ek police offiecer ke kirdra ko nibhaya hai..Masaan film ke release ke baad Anurag ne Vicky ko do scenes diye the jiske audition ke baad unhe final kar liya gaya wahin film mei Vicky aur Nawazuddin ka kirdar saath sath chalta hai jise bht hi darawane tarike se filmaya gaya hai jise dekhne ke liye theatre mei baar baar apko apni aankhen band karni padegi..Nawazuddin ke look ko bht hi dull aur horrible banaya gaya jahan unki aankhen hamesha laal aur khun se bhari dikh rahi hai.aur chehre par bada sa cut ka mark lagaya gaya hai..aapko bata de is film ki shooting ke waqt Nawazuddin apne character mei itni gehrai mei cale gaye the ki wo gambhir rup se bimar pad gaye the aur behoshi ki halat mei bhi wo film ke dialogue bolte dikh rahe the jinhe dekhkar unki patni bht dar gayi thi..waise Nawazuddin ki ye khasiyat hai ki wo apne character ke saath nainsafi kabhi nahi kar sakte hai..film mei Anurag ne background music se audience mei khauf bharne mei kamyab hog aye hai..wahin film mei haatho se bani doorbin act bhi bht popular ho gaya hai..wahin psycho raman ya yun kahe psycho Nawazuddin ne apne performance se ek baar phir audience ke dilon mei ek khas jagah bana li hai..wahin is film ka premeire is saal 69th Cannes film festival mei bhi hua tha jahan sabne standing ovaition diya tha..

Watch The Video To Know More!!

SUBSCRIBE To BollywoodEverywhere-
► https://goo.gl/1wOHB8

Stay Connected With Us On:
Website: http://studiozidrream.com/
Recommended