Bollywood Stuntwoman Geeta Tandon's Inspiring Story !

  • 8 years ago
Bollywood Stuntwoman Geeta Tandon's Inspiring Story !

Bade parde par Filmen jitni aasan dikhti hai utni hoti nahi ek film ke piche hazaron logon ka haaath hota hai tab jakar ek film ban kar taiyar hoti hai, aur sabka apna ek alag mahatv aur sthan hai..wahin Bollywood mei stunt man ka naam aksar sunne mei aata hai lekin Stuntwoman ka nahi to aaj hum aapko ek aesi stuntwoman ki aapbiti batayenge jinhone zindagi ki maar jhelte hue aaj Kareena Kapoor se Alia Bhatt tak ki body double ka kaam karti hai..is stunt woman ka naam hai Geeta Tandon, haal hi mei release hui 14 minute ki ek short film mei Geeta ki jubani hi unke sangharsh ki kahani sunayi gayi hai..Geeta ne bataya ki jab wo 10 saal kit hi tab unki maa gujar gayi thi phir 15 saal mei unki shadi karwa di gayi..lekin sasural unhe bht jharab mila , jahan saas aur pati milkar unhe marte the aur har din unka pati sabke samne uske kapde faad deta tha aur Geeta ka rape karta tha..ghar mei gas cylinder ka pipe khula chod kar rakha jata tha..wahin 2 bache ho jane ke baad bhi sasural walon ka vyavhar badla nahi..ek din Geeta ne ghar se bhagne ka faisla le liya jahan uska pati uske piche talvar lekar use marne ke liye dauda tha lekin tab tak wo apne bache ko lekar apni behan ke ghar pahunchi phir kuch dino baad Gurudwara mei rehne lagi..wahin kaam ki talash mei unhe unhe galat jagah milne lagi.. kahin log unhe rakhail banana chahte the to kahin massage parlour mei gaalt kaam kawana chahte teh..phir ek din unhe unke papa ki madad se shooting mei kaam mil gaya aur yahan se hi wo ek dost ki madad se stuntwoman banne ka man bana liya..ek aag ki scene mei wo buri tarah jhulas bhi gayi thi lekin tab bhi unka hausla kam nahi hua..aur aaj wo filmy sitaron ke bich bht popular hai wahin16 saal ki unki beti Harsha aur 14 saal ka beta Pratap ko aaj apni maa par garv hai..Bollywood ek more updates ke liye dekhte rahe hamara channel..

Watch The Video To Know More!!

SUBSCRIBE To BollywoodEverywhere-
► https://goo.gl/1wOHB8

Stay Connected With Us On:
Website: http://studiozidrream.com/

Recommended