Wassay Sada Pakistan by Inayat Hussain Bhatti ( Patriotic Jugni )

  • 8 years ago
31st May
Death Anniversary of Inayat Hussain Bhatti
Inayat Hussain bhatti jin ki waja-e-shohrat Punjabi Filmi aur Lok Geet hain Unho ne 10 se zaayd Qaumi Naghmaat bhi gaye Khaas tor par Film Changez Khan ka Naghma "Aye Mard-e-Mujahdi Jaag zara Ab Waqt-e-Shahadat hai Aaya , Allahu Akbar" jise Pak Fauj ne Apna Sarkaari Naghma banatay huwe Gulookar ko kye Aizazaat se bhi Nawaza jin mai :
12 Medium Regiment, Artillery
Officers of 43 Baluch Regiment.
48 Signal Battalion Award
The Century six Artillery Unit
Shaamil hain, Inayat Hussain Bhatti ka maroof waqia woh hai k Jab Jang-e-Sitamber mai Difai Fund qaayem hua to Inho ne sirf 340 rs rakh poori jaaidad Fund mai de di is par inki Begum ne kaha k agr Jang ziyada arsa ho gye to kia hoga ? Bhatti sahb ne foran Jawab diya "Agr Mera Mulk hi na raha to kia hoga ! " yeh sun kar Unki Ahliya bhi Khamosh ho gyeen, BehrHaal Jang ke bad Pakistani Awam aur Hukoomat ne Inki Khidmaat ko saraha , Jang ke Zamanay mai Woh Filmi Duniya se Wabasta thay mgr Lahore radio aa ke Unhon ne kuch Naghmaat record karwaye Jin mai Punjabi Riwaiti Mauseeqi par Mubni 2 Jugniyan bhi theen jinhe Dr.Rasheed Anwer aur Ismail Matwala ne likha tha , yeh Jugni Oct 1965 mai Record hui lekin unho ne Apni Film "Moun Zor" jo 1966 mai release hui Us mai bhi Shaamil kiya ,Aaj Inayat Hussain Bhatti ki barsi ke mauqay par Josh o Jazbaat se Pur aur Jang-e-Sitamber ke Har Ma'arkay ki Yaad dilati Yeh Jugni behtareen Audio Quality ke sath Aap sab ke liye :)

Recommended