Yad e Kal Khair Bhi Hum Rab e Kaaba Ki Qasam - Nadeem Sarwar

  • 9 years ago
Aseer qafila darbar e sham jab aaya,
Yazeed (LA) Zainab-e-Kubra (SA) se yun huya goya
Lo aj raaz “Wa tu izzu man tasha” ka khula
Kay bawaqar hua kon, kon hay ruswa

O! Bad kalam tehar, O! Bad kalam tehar, Bolen Zainab-e-Kubra (SA)
Nashay mai mast hay aayat yeh poori sab ko suna,
Wo hath khair ka hay kon mujh ko yeh to bata
Kay jis se zilat o toqeer bant’ta hay khuda
Wo hath tu hay k hum? Wo hath tu hay k hum?
Hum Ahlebait(AS) hain us kay, hum he hain izzat o zillat k bantnay walay
Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan, sar e darbar e sitam

Zainabi (AS) lehjay mai awaz e Ali (AS) goonj uthi
Zulm or jabr k darbar par bijli se giri
Laiq e hamd hay jis ne hamain izzat bakhshi
Surah e Rom se shehzadi ne aayat yeh parhi
Jo buray thay so bura he un ka anjam hua
Jis ne Quran ko jhutlaya wo nakaam hua

Yad e kal khair bhi hum, Rab e Kaaba ki Qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Kia kaha tu ne? kay haq se hamain ruswai mili
Hum yeh kehtay hain hamain izzat o sachai mili
Hum ko Quran mila Rab ki shanasaye mili
Mere pyaro ko sina par bhi pazeraye mili
Ibn e Marjana teray jubba o dastar talak
Karbala aagaye ab sham kay darbar talak

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Aye mere bhai kay qatil hawas e zar k ghulam
Imtehan yeh bhi hay or mai karun tujh se kalam
Yun mukhatib hunk ay dil mai mere gham ki husan
Mujh ko dena hay Hussain ibn e Ali (AS) ka paygham
Kar kay tazheek e Nabi (SAWW), tujh ko maza aata hay
Inteqam e badr o ohad pe itrata hay

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Aye Yazeed! Aye sitmai! Jag bohat shaad hay tu
Qaid karke hamain samjha hay kay azad hay tu
Yeh teri khaam khayali hay k aabad hay tu
Nasl dar nasl sada kay liye barbad hay tu
Faisla Rab ka hay, mohlat hay sambhal janay ki
Dheel dee jati hay zalim ko sambhal janay ki

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Aaj kis zom mai ashraf ka khoon peeta hay
Kat kay bagh e Risalat ko tu khush hota hay
Cheekhta phirta hay tu badr ka yeh badla hay
Mujh ko herat nahi hinda he ka tu beta hay
Hoga maloom shaqawat, ka nateeja us din
Badla yeh kia hay, liya jaye ga badla us din

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Kardia qatal hamain tu ne ghalat socha hay
Gosht apna he chabaya hay badan nocha hay
Kia khabar tujh ko k hum logo ka rutba kia hay
Aal e Imran mai Allah ka yeh waada hay
Shohada surat e Quran, sada zinda hain
Wo to wo un kay muhiban sada zinda hain

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Haye! Mehv e heart hun jinhain Rab ne sar afraz kiya
Ilm e Quran diya or yad e kal khair kaha
Ah! Un Bagh e Risalat kay guloo ko masla
Aasteeno se tumhari hay lahoo un ka baha
Pak o pakeeza banaye, thay jo khud rab ne badan
Aj sehra mai paray hain wohi be gor o kafan

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Aazma lay sitami jag sitam kay harbay
Dekh baqi koi dil mai teray hasrat na rahay
Reh gaya ho jo koi sitam toe wo bhi karlay
Jeet kar har gaye teri hukumat hum say
Fikr e Shabbir (AS) to phaylay gi, Muhammad (SAWW) ki qasam
Yeh teray bus mai nahi malik o mukhtar hain hum

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Hafiz e Nehj e Balagha ka tha wo rob o jalal
Maut ki khamoshi jesa hua darbar ka haal
Jag utheen bibiyan jo theen gham se musalsal nidhal
Bharay darbar se mazloom khateeba ka sawal
Kalma jis ka parha, us ka jigar kat liya
Apne Mohsin he kay nawasay he ka sir kat liya

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Tum thay nau lakh darinday wo bahatar (72) insaan
Un bahatar mai bhi tha ik Asghar (AS) sa tishna dahan
Aisa masoom qasam khata hay jin ki Qur’an
Haye un pyaso kay hulqoom pe khanjar tha rawan
Tum yeh kehtay ho paye jung Hussain (AS) aaya tha
Betio behno ko phir sath mai kyun laya tha?

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Aye Yazeed(LA)! Aj kyun na tujh pe falak toot paray
Tu ne who zulm diye jis ne Muhammad (SAWW) roye
Haye namoos e Nabi (SAWW) kocha o bazaar phiray
Dar o deewar sajay kothon se pathar barsay
Shamio hum pe naya, ab yeh ghazab kartay ho
Choti Zehra (SA) ko kaneezi mai talab kartay ho?

Yad e kal khair bhi hum, Rab e kaaba ki qasam
Unhi hathon mai rasan sar e darbar e sitam

Khatam taqreer hui, mehshar e khamosh utha
Ya Ali (AS)! Ap ki beti ka ajab khutba tha
Murda darbar pe chahi thi khateeba ki sada
Bich gaye Sarwar o Rehan wahan farsh e Aza
Bhai kay sir pe nazar, Zainab e Kubra (SA) ki pari
Jhuk gaye Bali Sakina (SA) pe Ali (AS) ki

Recommended