Voilin par Dhun - Naina Taras Kar Reh Gaye - Raees Khan
  • 9 years ago
Raees Khan kay hath mein Voilin aati thi to bajti nahi thi, Lafzon mein Bolti thi.. Ye geet aap mein se jin logon nay suna hua hai woh is geet kay prelude / ibtedai shair se waqif hoon gay jo Sahir Ludhianvi nay is tarah likha tha .. "Saanjh ki laali sulag sulag kar ban gai kaali dhool.. Aaye na baalam bedardi Main chunti reh gai phool" Main Raees Khan ka ye Video sirf usi shair tak sunta hoon.. Kya kamal ki adayegi ki hai unhoon nay Violin kay through.. Shair ka aik aik lafz Violin say adaa hota saaf sunai deta hay agar koi ghaur karay to :-) Us kay baad jahan se Drum aur doosray instruments roll in hotay hain wahan mujhe woh maza nahi aata jo is shuru kay Solo Violin piece mein hay .. Pasand Apni Apni :-) Theek 2 Mahina pehlay ye Upload kiya tha..aur aaj phir dobara ye aap ko sunwaanay ka mood hay :-) Enjoy the Gem of Nisar Bazmi revived by Raees Khan on Violin..
Recommended