Unki Nazroon Ne Aisa Jadoo Kiya new Remix
  • 9 years ago
I created by using Creative Common Video from http://www.videezy.com/free-video
Lyrics:
Aankh Uthi Muhabbat Ne Angrai Li Unki Nazroon Ne Aisa Jadoo Kiya
Aaj ki baat phir nahi hogi yeh mulaqat phir nahi hogi Aise badal to phir bi aayenge Aisi barsaat phir nahi hogi
Raat unko bhi yoon huya mehsoos Jaise yeh raat phir nahi hogi Ik nazar murke dekhne wale Kya yeh hairat phir nahi hogi
Jaane wale hamari mehfil se Chand taaron ko bi saath leta ja Hum khizaaon se nibaah kar lenge Tu baharon ko sath leta jaa
Koi hasse to tujhe ghum lage hassi na lage Ke dillagi bhi tere dil ko dillagi na lage Tu roz roya kare hut ke raaton mein Khuda kare tera mere begair ji na lage
Yeh jo diwane se do char nazar aate hain
In mein se kuch sahibe-asraar nazar aate hain Teri mehfil ka baraam rakhte hain so jate hain Warna yeh log to bedaar nazar aate hain
Mere damaan mein kanton ke siwa kuch bi nahi Aap phooloon ke haridaar nazar aate hain Hashr mein kon gawahi meri dega saahil Saab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain
Chandni raat yaad aati hai wo mulaqat yaad aati hai Dekh kar un ganeri zulfon ko Mast barsaat yaad aati hai
Ankh uthi ....
Jis taraf uth gayi hain aanhen hain Chasm-e-baddur kiya nigahen hain
Jidar uthai nazar qatl-e-aam tumne kiya Qazaa ka naam huya aur kaam tumne kiya
Ankh uthi mohabbat ne angrai li Dil ka sauda huya chandi raat mein Unki nazron ne kuch aisa jaddo kiya loot gaye hum to pehli mulaqat mein
Hum hosh bhi apne bhul gaye Imaan bhi apna bhul gaye Ik dil hi nahi us bas mein Hum na jaane kiya kiya bhul gaye
Jo baat thi unko kehne ki Wo baat hi kehna bhul gaye Gairon ke fasane yaad rahe Hum apna fasana bhul gaye
Kya kya nigah yaar bata hasin ho gayi Kabhi bijli bani kabhi shamshin ho gayi Aisi mili hain apni nazar us nazar ke sath mehfil mein baar baar uni par nazar gayi Humne bachai lakh magar phir udar gayi Unki nigah mein koi jadoo zaroor Jis par padi usi ke jigar mein utar gayi
Banke tasweer-e-ghum reh gaye hain Khoye khoye se hum reh gaye hain Bant li sabne aapas mein khushiyaan Mere hisse mein ghum reh gaye hain Ab na uthna sarhane se mere Ab to ginti ke dum reh gaye hain
Qaafila chal ke maanzil pe pahuncha Thehro thehro mein hum reh gaye hain Ae sabaa ik zehmat zara phir Unki zulfon mein hum reh gaye hain Qayenaten jafaawon wafaaon mein Eik tum eik hum reh gaye hain
Allah allah yeh kiski gali hai Uthte uthte qadam reh gaye hain
Nazar mila ke mere paas aa ke lut liya Nazar hati thi ke phir muskura ke lut liya Yeh lut to dekho , jab chaha Muj mein hi reh kar muj hi samaa kar lut liya
Sath apna wafaa mein na chhute kabhi Pyar ki dor bankar na tutte kabhi Chhot jaye zamana koi ghum nahi Hath tera rahe bas mere hath mein
Rukh hai barsaat ki dekho zidd mat karo Raat andheri hai badaal hain chhaye huye Ruk bi jao sanam tum ko meri qasam Ab kahan jaoge aisi barsaat mein