Malala Yousafzai (Pakistani School girls reaction) Malala Yousafzai Winner 2014 for Nobel Peace

  • 10 years ago
Malala Yousafzai (Pakistani School girls reaction) Malala Yousafzai Winner 2014 for Nobel Peace Malala yousafzai, nam tou suna ho ga :p hn tou children rights activist Malala Yousfzai aur India ke Kailash Sathyarti ko aik joint noble peace prize se nawaza gaya hai \o/

Norwegian Nobel committee ne in dono ko children suppression ke khilaf struggle pe ye prize dia hai.

Malala, Pakistan ki aik education campaigner hein jin pe 2 saal pehlay taliban ne attack kia tha aur ab vo aik children’s rights activist hein. Jb ke 60 sala Satyarthi sahab, Mahatma Gandhi ke baray fan hein aur unki tradition qaim rkhty huy bachoon ke against suppression aur explotation ke khilaf kafi peaceful protests krwa chukay hein.

Nobel Committee ka kehna tha ke baray markay ki baat hai ke aik Hindu aur Muslim mil ke extremisims ke khilaf aur education ke liye koi naik km kr re hein.

Nobel prize ke founder, Alfred Nobel ne kaha tha ke je mein mar jaun ty ay peace prize ona nu dien jo nations ke itehad ke ke liye kam kry ya jo aman ki asha rakhta ho :p

Nobel committee ne different wakht pe is baat ko different tareeqoon se interpret kia hai aur peace work ke concept ke under fight against poverty, human rights ki improvement and environment ke sewa ko bi dal dia hai.

Malala Yousaf jo last year bi favourite thien is dafa Francis Pope, Edward Snowden aur aik Japanese Pacifist group ke sath compete kr ri thien.

Nobeliana.com ne Malala ko puri dunya mein larkioon ki education ke liye fight pe apni top candidate karar dia.

Abdus Salam (jinhein 1979 mein Physics ki field mein contribution pe ye prize diya gaya tha) ke baad Malala Yousafzai wo dusri Pakitani hein jinhein Nobel prize mila hai.

Recommended